People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 11 *

Aaja Nachle
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Aaja Nachle
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaja-Nachle/Aaja-Nachle/Jj0tX
mera jhumka utha ke laaya re yaar ve
jo gira tha bareli ke bazaar me
main to thumka lagaake sharma gayi
boli ghunghar bandha de ki main aa gayi
mujhko nachaake nachle, aaja nachle nachle
mere yaar tu nachle, jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle
ab to luta hai baazar
sabko bhulaake nachle, aaja nachle nachle
mere yaar tu nachle, jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle
ab to luta hai baazar

nachle nachle jara nachle nachle
chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
jhat se uthaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
jhat se uthaake nachle
maine galti kari thi, meri nathni padi thi
maine galti kari thi, meri nathni padi thi
ke sone mein usko ranga gayi
main ranga ke atariya pe aa gai
mauhalle mein kaisi maara maar hai
mere dar pe diwaano ki bahar hai
sab ko nacha ke nachle, aaja nachle nachle
mere yaar tu nachle, jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle
ab to luta hai baazar

main to kamsin kali thi, zara tan ke chali thi
main to kamsin kali thi, zara tan ke chali thi
aage jaake gali pe balakha gayi
koyi jaane jawaani kab aa gai
mere sadke zamane ki kamaayi re
mujhe deta udhaare halwaayi re
sab ko nacha ke nachle, aaja nachle nachle
mere yaar tu nachle, jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle
ab to luta hai baazar
sabko bhulaake nachle, aaja nachle nachle
mere yaar tu nachle, jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle
ab to luta hai baazar

nachle nachle jara nachle nachle
chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
jhat se uthaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle
jhat se uthaake nachle
Aaja Nachle(Reprise)
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Aaja Nachle
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaja-Nachle/Nachle-Reprise/AT
aaja nachle - (5)
party people
blue jean and torn pyjarmas, wacky hairstyless
its all for one
bare bare yarr ve aaja nachle - (2)
aaree aaree yar ve aaja aaja nachle - (2)
o chedenge tarane ham divane milke
roke se narunkenge ham divane dilke

(check thees out, all for one
o aaja nachle, lets have fun
o nach nachle) - (2)

check thees out, thees is how we do it

baree baree yarr ve aaja nachle - (2)
aaree aaree yar ve aaja aaja nachle - (2)
o chedenge tarane ham divane milke
roke se na runkenge ham divane dilke

rang bhee hain sang bhee hain, machalee bate bhee
nachenge rat din yeh kasam aaj le
floor bhee hai beat bhee hain, jhumatee rate bhee
chede nai dhun koyee, hato me saje le

o chedenge tarane ham divane milke
roke se narunkenge ham divane dilke

everyone of u go crazy, feel the dhol bajoo maybe
we gotta go inn, so all the ladies
lets go lets go lets go

we gout out of town, toh get on this road
take a trip take a journey

toh a place untold, magic all india out of a hat
desi style yara iss wht we are at
jeans phene ya pajama, no fikar hain koyee
dance karna yaha hame har hal me
yeh jamana kuchh bhee bole, bolne do yaro
mauj hain manana din mahine sal me
o chedenhe tarane ham divane milke
roke sena rukenge ham divane dilke

baree baree yarr ve aaja nachle - (2)
aaree aaree yar ve aaja aaja nachle - (2)
o chedenge tarane ham divane milke
roke se na runkenge ham divane dilke

mera jhumka utha ke laaya re yaar ve,
jo gira tha bareli ke bazaar me
main to thumka lagaake sharma gayi
boli ghoongar bandha denge mein aa gayi
mujhko nachaake nachle,
aaja nachle nachle mere yaar tu nachle
jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle,
abb to luta hai baazar
sabko bhulaake nachle,
aaja nachle nachle mere yaar tu nachle
jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle,
abb to luta hai baazar

(nachle nachle jara nachle nachle,
chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle,
jhat se uthaake nachle) - 2
maine galati kari thi,
meri nathani padi thi - 2
ke sone mein usako ranga gayi,
mein rangaake atariya pe aa gai
mohalhe mein kaisi maara maar hai,
bole mochi bhi khud ko sonar hai
sab ko nacha ke nachle,
aaja nachle nachle mere yaar tu nachle
jhanak jhanak jhankaar
ho o o nachle nachle mere yaar tu nachle,
abb to luta hai baazar
sab ko bhula ke nachle
aaja nachle nachle mere yaar tu nachle,
jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle,
abb to luta hai bazaar

main to kamsin kali thi,
zara tanke chali thi - 2
aage jaake gali pe balakha gayi,
koyi jaane jawaani kab aa gai
mere sadke zamane ki kamaayi re,
mujhe deta udhaari halwaayi re
sab ko nacha ke nachle,
aaja nachle nachle mere yaar tu nachle
jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle, abb to luta hai bazaar
sab ko bhula ke nachle, aaja nachle nachle mere yaar tu nachle
jhanak jhanak jhankaar
o nachle nachle mere yaar tu nachle, abb to luta hai bazaar
(nachle nachle jara nachle nachle, chhat pe bulaake nachle
nachle nachle jara nachle nachle, jhat se uthaake nachle) - 2
koi patthar se na mare
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Aaja Nachle
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaja-Nachle/Koi-Patthar-Se-Na
laila ki saans ki dor bandha
wo deewana wo majanu hai
wo hosh nahi behosh baawara
nahi jaanta wo kyun hai
behosh use rehne do, ki hosh mein wo aayega
to neend mein uski laila ka
wo khwaab tut jayega, wo khwaab tut jayega
wo khwaab tut jayega

koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
so bhi lene do, uska dard yahi hai, dawa yahi hai
so bhi lene do, uska din yahi hai, jahaan yahi hai
so bhi lene do, ki wo jaag pada to dar jaayega
phir bilakh jaayega ki pahlu mein laila nahi hai
maut bhi ghabraayegi, maut bhi ghabraayegi
paas mein aane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko

rakhna sambhaal ke ye patthar
kal ko wo din bhi aayega
jab patthar honge ye makaan
inki bhi hogi ek zubaan
ki dastan-e-laila majnu, shaqs shaqs dohraayega
patthar ka dher ye aaj ye kal ka
tajmahal kehlaayega
nahi mil payega, nahi mil payega
phir waqt tumhein pachhtaane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
soniye mil ja mele mein
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Aaja Nachle
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaja-Nachle/Soniye-Mil-Ja/Ci8
pantang sang ud gaya bachpan jhanak
jhanak man dagar suhani re
ladakpan aaya ab to kasak masak ye kya mastaani re
are kya haay jawaani ki hoti hai yahi nishaani re
ki chitwan tirchi tirchi huyi jaaye haan aayi jawaani re
ho jawaani aayi saath mein laayi
pawan ke sang sang har ang chale hichgole le ke
gagan ke rang se ude hai takdir
lagi humraahi chali purwaayi
main hoon tera romeo tu meri hai wohi juleot

are main raanjha tera tu meri hai heer
soniye mil ja mele mein ke iska naaam jawaani
ke jo na main na hoon tere sang to phir kis kaam jawaani
are woh nahi jaante hoti kis kaam jawaani
tabhi to hoti hai har baar yeh badnaam jawaani
soniye mil ja mele mein ke iska naaam jawaani
are ke aaja meri jaan ki na main musalman
na hindu jaisi koyi bat hu

are mein prem khajaane ka hoon pehredaar
are ho khabardaar aashiq ki jaat hoon
hey banaras ke ikke mein ho ganga tir chalenge
barf ki dhoop sunghane are kashmir chalenge
are kaise bhi ho halat main tujhko ghuma laau bagdad
ye mera waada jaanam
are yeh chunari bikaaner ki surma jhumka mehandi
ye mera waada jaanam
soniye mil ja mele mein ke iska nam jawaani
ke jo na main na hoon tere sang to phir kis kaam jawaani
are woh nahi jaante hoti kis kaam jawaani
tabhi to hoti hai har baar are badnaam jawaani
soniye mil ja mele mein ke iska naaam jawaani

are khulja ki khurjan are mathura ke pedhe
rewdi meerut wali chaat tari waha ki laayega
are main hukam karu to dur arab se pura baag khajoor
laadke aangan mein bahrpur tu mere lagwaayega
are lagwaayunga lagwaayunga lagwaayunga

to phir tu mil ja mele mein ke iska naam jawaani
nahi ye chhota masla bahot bada hai kaand jawaani
are ye sarpat sarpat dhode meri jaan jawaani
are ye ghar ki murgi nahi ye chutta saand jawaani
soniye mil ja
soniye mil ja mil ja mil ja mil ja mil ja
soniye mil ja soniye mil ja
Ujla Hi Ujla
Singer: Piyush Mishra
Music: Hitesh Sonik
Lyricist: Piyush Mishra
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/punjabi/Coke-Studio-@-MTV-Season-3:-Episode-7/Ghar/P18hWhpDZWA
Video:
ujla hi ujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar
hum dono rahenge kabutar se
jisme hoga na baazon ka dar

makhmal ki nazuk diwaare bhi hongi
makhmal ki nazuk diwaare bhi hongi
kono me baithi bahare bhi hongi
khidki ki chaukhat bhi resham ki hogi
chandan se lipti hanse han bhi hongi
sandal ki khushbu bhi tapkegi chhat se
fulon ka darwaza kholenge jhat se
dolenge mahki hawa ke ha jhonke
aankhon ko chhu lenge, gardan bhigo ke
aangan me bikhre pade honge patte
sukhe se naazuk se pile chhitakke
paao ko nanga jo karke chalenge
charpar ki aawaaz se vo bajenge
koyal kahegii ki main hun saheli
maina kahegi nahi tu akeli
battakh bhi cho cho me hasti si hogi
bagule kahenge, suno ab utho bhi
hum bhi honge pade aankh munde
kaliyon ki ladiyan dilon me ha gunde
dhundenge us paar ke, us jahaan ko
jaati hai koi dagar, jaati hai koi dagar

chandi ke taaron se raate bunenge to
chamkili hogi sahar
ujla hi ujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar

aaoge thak kar jo ha saathi mere
kandhe pe lungi tika saathi mere
bhuloge tum jo bhi ha sathi mere
moti sa lungi utha saathi mere
palkon ki koron pe aaye jo aasun
main kyun darungi, bata saathi mere
ungli tumhari to pehle se hogi
gaalon pe mere to ha saathi mere
tum has padoge to main has padungi
tum ro padoge to main ro padungi
lekin meri baat ek yaad rakhna
mujhko hamesha hi han saath rakhna
judhti jaha ye zamin aasmaan se
had ha humari, shuru ho wahan se
taaron ko chhu lo, zara sa sambhal ke
us chaand par jhat se jaye fisal ke
beh jaaye dono hawa se nikal ke
suraj bhi dekhe hume aur jal ke
hoga nahi hum pe maaloom saathi
tino jahan ka asar, tino jahan ka asar

ki raahon ko raahe batayenge saathi hum
aisa hoga safar
mujla hi mujla shahar hoga
jisme hum tum banayenge ghar
dono rahenge kabutar se
jisme hoga na baazon ka dar
Raat Ke Musafir
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Gulaal(2009)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/raat-ke-musafir/Ex0nRyt9dH0
Video:
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke

Raat Ke Musafir

Lyricsbogie.Com
Chal To Tu Pada Hai,
Faasla Bada Hai
Jaan Le Andhere Ke
Sar Pe Khoon Chadha Hai
Chal To Tu Pada Hai,
Faasla Bada Hai
Jaan Le Andhere Ke
Sar Pe Khoon Chadha Hai
Mukaam Khoj Le Tu,
Makaan Khoj Le Tu
Insaan Ke Sheher Mein
Insaan Khoj Le Tu
Dekh Teri Thokar Se
Raah Ka Wo Pathar
Maathe Pe Tere Kas Ke
Lag Jaaye Naa Uchal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir

Maana Ki Jo Hua Hai
Wo Tune Bhi Kiya Hai
Inho Ne Bhi Kiya Hai
Unhone Bhi Kiya Hai
Maana Ki Tune Haan Haan
Chaha Nahi Tha Lekin
Tu Jaanta Nahi Ki
Yeh Kaise Ho Gaya Hai
Lekin Tu Phir Bhi Sunn Le
Nahi Sunega Koi
Tujhe Yeh Saari Duniya
Khaa Jaayegi Nigal Ke
Tujhe Yeh Saari Duniya
Khaa Jaayegi Nigal Ke



Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho
Aag Naa Sambhal Ke

Raat Ke Musafir
Hoo Raat Ke Musafir
Tu Bhaagna Sambhal Ke
Potli Mein Teri Ho Aag
Naa Sambhal Ke, Raat Ke Musafir.
Jab Shehar Hamare So Gayo
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Gulaal(2009)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/sheher/ATopWCd6DlE
Video:
Aye Ek Waqt Ki Baat
Bataye Ek Waqt Ki
Jab Sheher Hamara So Gayo
Tho Wo Raaj Gajab Ki
Aye Ek Waqt Ki
Baat Bataye Ek Waqt Ki
Jab Sheher Hamara So Gayo
Tho Wo Raaj Gajab Ki
Hey Chahu Aur Sab
Ore Disha Se Laali Chaayi Re
Jugni Naache Chunar
Odhe Khoon Nahayi Re
Hey Chahu Aur Sab
Ore Disha Se Laali Chaayi Re
Jugni Naache Chunar
Odhe Khoon Nahayi Re
Sab Oro Gulaal Put Gayo Sab Oro Mein
Heyyy Sab Oro Gulaal Put Gayo Vipda Chaayi Re
Jis Raat Gagan Se Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Gagan Se Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein Khoon Ki Baarish Aayi Re

Sarabor Ho Gayo Sheher Aur
Sarabor Ho Gayi Dhara
Sarabor Ho Gayo Re Jattha
Insaano Ka Bada Bada
Sabhi Jagat Yeh Pooche
Tha Jab Itna Sab Kuch Ho Riyo Tho
To Sheher Hamara Kahe
Bhaisaab Aankh Mood Ke So Riyo Tho
To Sheher Yeh Boliyo
Neend Gajab Ki Aisi Aayi Re
Jis Raat Gagan Se
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Jis Raat Sheher Mein
Khoon Ki Baarish Aayi Re
Sanataa Viraana Khamoshi Anjaani
Zindagi Leti Hai Karwate Toofani
Ghirte Hai Saaye Ghanehre Se
Rookhe Baalon Ko Bikhere Se
Badhte Hai Andhere Pishaacho Se

Kaanpe Hai Jee Unke Naacho Se
Kahin Pe Wo Jooto Ki Khat Khat Hai
Kahin Pe Alawo Ki Chat Pat Hai
Kahin Pe Hai Jhingur Ki Aawazen
Kahin Pe Wo Nalke Ki Tap Tap Hai
Kahin Pe Wo Kaali Si Khidki Hai
Kahin Wo Andheri Si Chimni Hai
Kahin Hilte Pedon Ka Jattha Hai
Kahin Kuch Mundero Pe Rakkha Hai

Re Re Re Re Re Re Re
Hoo Hoo Hoo Hoo
Sunsaan Galli Ke Nukaad Pe Jo Koi Kutta
Cheekh Cheekh Kar Rota Hai
Jab Lamp Post Ki Gandli Pilli Ghup Roshni
Mein Kuch Kuch Sa Hota Hai
Jab Koi Saaya Khud Ko
Thoda Bacha Bacha Kar
Gum Saayo Mein Khota Hai
Jab Pool Ke Khambho
Ko Gaadi Ka Garm Ujaala
Dheeme Dheeme Dhota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Tab Sheher Hamara Sota Hai
Hooo Hooo

Jab Sheher Hamara Sota Hai
To Maloom Tumko Haan Kya Kya Hota Hai
Idhar Jaagti Hai Laashen Zinda Ho Murda
Udhar Zindagi Khota Hai
Idhar Cheekhti Hai Dahua
Khairaati Uss Aspataal Mein Bifri Si
Aaankh Mein Uske Agle Hi Pal
Garam Maas Ka Naram Lothda Hota Hai
Idhar Uthi Har Takraaren
Jismo Ke Jhatpat Len Den Mein Uchi Si
Udhar Ghaav Se Riste Phoonko
Door Guzarti Aakhen Dekhe Rookhi Si
Lekin Usko Leke Rang Birange
Mailon Mein Gun Jaayi Shoti Hai
Nashe Mein Doobe Sehan Se
Khoonkhaar Chutkulo Ki Paidaaish Hoti Hai
Adh Nange Jismo Ki Dekho
Lipi Putti Se Lagi Numaaish Hoti Hai
Laar Tapakte Chehro Ko Kuch
Shitaani Karne Ki Khwahish Hoti Hai
Wo Pooche Hai Hairaan Hokar
Aisa Sab Kuch Hota Hai Kab
Wo Batalo To Unko
Aisa Tab Tab Tab Tab Hota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Jab Sheher Hamara Sota Hai
Hooo Hoo Hoo
Aisi Sazaa
Singer: Shilpa Rao
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Gulaal(2009)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/aisi-sazaa/HAZGUgFyeEc
Video:
Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa,
Tanhai Bhi Tanha Nahi

Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi
Aise Mein Baarish Ki Boondon Se Apni
Saanson Ko Sehla Bhi Do

Badhti Hawaon Ke Jhokho Se Dil Ko
Nagma Koi Laa Bhi Do
Palko Ki Kono Pe Baaithi Nami Ko
Dheeme Se Pighla Bhi Do
Aaaaaaa.Yeh Zindagi Aisi Hi Thi
Tumne Kabhi Jaana Nahi
Jeevan Ki Rahon Mein Aana Ya Jaana
Bata Ke Nahi Hota Hai
Jaate Kahin Hai Magar Jaante Naa
Ki Aana Wahin Hota Hai
Khone Ki Zid Mein Yeh Kyu Bhoolte Ho
Ki Paana Bhi Hota Hai
Wo Pal Abhi Waisa Hi Hai

Chhoda Tha Jo Jaisa Wahi
Aisi Sazaa Deti Hawaa
Tanhai Bhi Tanha Nahi
Neenden Bhi Ab Sone Gayi
Raaton Ko Bhi Parvaah Nahi..
O Ri Duniya
Singer: Piyush Mishra
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Gulaal(2009)
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/duniya/IlosXwJgdFw
Video:
O Ri Duniya O Ri Duniya
Aye Duniya
Aye Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya
O Duniya
Surmayee Aankhein Ke Pyaalo Ki Duniya
O Duniya
Satrangi Rango Gulalo Ki Duniya O Duniya
Satrangi Rango Gulalo Ki Duniya O Duniya

Alsaayi Sejo Ke Phoolon Ki Duniya
O Duniya Re
Angdaayi Tode Kabootar Ki Duniya
O Duniya Re
Aye Karwat Le Soyi Haqeeqat Ki Duniya
O Duniya
Deewani Hoti Tabiyat Ki Duniya
O Duniya
Khwahish Mein Lipti Zaroorat Ki Duniya
O Duniya Re
Hey Insaan Ke Sapno Ki Niyat Ki Duniya
O Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
O Ri Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai

Mamta Ki Bikhri Kahani Ki Duniya
O Duniya
Behno Ki Siski Jawani Ki Duniya
O Duniya
Aadam Ke Hawaas Rishte Ki Duniya
O Duniya Re
Hey Shayar Ke Pheenke Labzo Ki Duniya
O Duniya
O Ho Ho Oo
Gaalib Ke Maumin Ke Khawabo Ki Duniya
Majazo Ke Un Inqalabo Ki Duniya
Gaalib Ke Maumin Ke Khawabo Ki Duniya
Majazo Ke Un Inqalabo Ki Duniya
Faize Firako Sahir Umakhdum
Meel Ki Zoku Kitabo Ki Duniya

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kya Hai

Palchin Mein Baaten Chali Jaati Hai Hai
Palchin Mein Baaten Chali Jaati Hai Hai

Reh Jaata Hai Jo Sawera Wo Dhoondhe
Jalta Makaan Mein Basera Wo Dhoondhe

Jaisi Bachi Hai Waisi Ki Waisi,
Bacha Lo Yeh Duniya
Apna Samajh Ke Apno Ki
Jaisi Utha Lo Yeh Duniya

Chitput Si Baaton Mein Jalne Lagegi,
Sambhalo Yeh Duniya
Katpit Ke Raaton Mein Palne Lagegi,
Sambhalo Yeh Duniya

O Ri Duniya
O Ri Duniya
Wo Kahen Hai Ki Duniya
Yeh Itni Nahi Hai Sitaaro Se
Aage Jahan Aur Bhi Hai

Yeh Hum Hi Nahi Hai
Wahan Aur Bhi Hai
Hamari Hare K Baat Hoti Wahin Hai
Hume Aitraaz Nahi Hai Kahin Bhi
Wo Aayi Zamil Pe Sahi Hai

Magar Falsafa Yeh Bigad Jaata Hai Jo
Wo Kehte Hai Aalim
Yeh Kehta Wahan Ishwar Hai
Faazil Yeh Kehta Wahan Allah Hai
Kabur Yeh Kehta Wahan Issa Hai
Manzil Yeh Kehti Tab Insaan Se Ki
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya
Yeh Ujde Hue Chand Baasi Charago
Tumhare Yeh Kale Iraado Ki Duniya
O Ri Duniya O Ri Duniya
O Ri Duniya.
Aarambh Hai Prachand
Singer: Piyush Mishra
Lyricist: Piyush Mishra
Album: Gulaal(2009)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/aarambh/QlsCRB9YVWQ
Video:
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand
Mann Kare So Praan De,
Jo Mann Kare So Praan Le
Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai
Mann Kare So Praan De,
Jo Mann Kare So Praan Le
Wahi To Ek Sarv Shaktimaan Hai
Ishr Ki Pukaar Hai
Yeh Bhagwat Ka Saar Hai
Ki Yudh Hi To Veer Ka Pramaan Hai
Kauravo Ki Bheed Ho
Ya Pandavo Ka Neer Ho
Jo Lad Saka Hai
Wo Hi To Mahaan Hai
Jeet Ki Hawas Nahi,
Kisi Pe Koi Vash Nahi
Kya Zindagi Hai Thokaro Pe Maar Do
Maut Anth Hai Nahi
To Maut Se Bhi Kyu Dare?
Yeh Jaake Aasmaan Mein Dahaad Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand

Ho Daya Ka Bhaav
Ya Ki Shaurya Ka Chunaav
Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav
Tum Yeh Soch Lo
Ho Daya Ka Bhaav
Ya Ki Shaurya Ka Chunaav
Ya Ki Haar Ka Wo Ghaav
Tum Yeh Soch Lo
Ya Ki Poore Bhaal Bhar
Jala Rahe Vijay Ka Laal
Laal Yeh Gulaal, Tum Yeh Soch Lo
Rang Kesari Ho
Ya Mridang Kesari Ho Ya Ki
Kesari Ho Laal Tum Yeh Soch Lo

Jis Kavi Ki Kalpana Mein
Zindagi Ho Prem Geet
Uss Kavi Ko Aaj Tum Nakaar Do
Bheegti Nasso Mein Aaj,
Phoolti Rago Mein Aaj
Aaj Aag Ki Lapat Ka Tum Baghaar Do
Aarambh Hai Prachand,
Bole Mastako Ke Jhund
Aaj Jung Ki Ghadi Ki Tum Guhar Do
Aan Baan Shaan Ya Ki Jaan Ka Ho Daan
Aaj Ek Dhanush Ke Baarn Pe Utaar Do
Aarambh Hai Prachand
Aarambh Hai Prachand
Aarambh Hai Prachand
Hoye Hoye Hoye..
Hunkara
Music: Mithoon
Lyricist: Piyush Mishra
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/hunkara/Ej8CAiN,ewo
Video:
Ho Gira Dhadak Dhadak Dhadak
Utha Damak Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Hmm Iss Jungle Mein Sher Kabhi
Ek Jabardast Chingada Tha

Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Wo Mast Aasmaan Uncha Choomein
Jabar Jabar Hunkara Tha

Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Gale Mein Uske Nahi Thi Mala
Sar Pe Koyi Taaj Nahi
Lekin Mizaj Tha Aisa Uska
Jungle Ka Sartaaj Wahi

Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Yeh Aaya Odha Ke Sar Pe Kafan
Karega Gamon Ko Jinda Dafan
Ke Banke Bali Kehar Ki Zameen
Ko Dega Shifa Yeh Banke Marham

Har Chuhe Gidad Lomad Junglee
Saandh Ki Baari Aayegi Aayegi Aayegi
Jo Sidhe Takraye Toh Bolun
Maut Bhi Pyari Aayegi Aayegi Aayegi

Yeh Har Ek Disha Barood Uda To
Phirte Phirte Jayega
Phir Taal Thok Bijli Aaye To
Bijli Se Takrayega

Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Ho Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara
Gira Dhadak Dhadak Utha Damak Damak
Dekho Chamak Chamak Yeh Taara

Aasmaan Ke Paar Chala
Cheekh Ki Yeh Yalgaar Chala
Aage Badhte Har Dushman Ko
Cheer Ke Yeh Hathiyar Chala

Khanjar Hai Peeth Mein Gehra
Ghana Chahe Andhera
Phir Bhi Zid Pe Zinda Jo
Kehlaye Wo Shamshera

Shamshera

Khanjar Hai Peeth Mein Gehra
Ghana Chahe Andhera
Phir Bhi Zid Pe Zinda Jo
Kehlaye Wo Shamshera

Yeh Aaya Odha Ke Sar Pe Kafan
Karega Gamon Ko Jinda Dafan
Ke Banke Bali Kehar Ki Zameen
Ko Dega Shifa Yeh Banke Mahram.